Arz Kiya Hai Lyrics by Anuv Jain | Coke Studio Bharat Song

 

Attribute Details
Song Arz Kiya Hai
Singer Anuv Jain
Lyricist Anuv Jain
Composer Anuv Jain
Producer Lost Stories
Music Anuv Jain, with production by Lost Stories
Music Label Universal Music India / Coke Studio Bharat
Release Date August 20, 2025
Duration 4 minutes 54 seconds
Language Hindi
Genre Romantic / Indie
Music Video Director Edwin Quadros
Featuring Anuv Jain

Arz Kiya Hai Lyrics

कायर जो थे, वो शायर बने

अब क्या-क्या करें ये इश्क़ में

ना कहते थे कुछ जो, लगे खोज में

क्या लफ़्ज़ चुने, नए आशिक़ ये

 

इश्क़ में तेरे हैं फ़ैज़ बने

अर्ज़ किया है

हमने भी लिखा कुछ तेरे बारे में है

 

ऐसे तू लगे कि ग़ुलाब है

और ऐसे तू लगे कि ग़ुलाब है

बागों में दिल के खिलके इन फ़िज़ाओं में छाए हो, हाय

और वैसे हम तो तेरे ही ग़ुलाम हैं

और वैसे हम तो तेरे ही ग़ुलाम हैं

बादशाह दिल के तेरी बाज़ी में जो तू चाहे तो

 

डूबे दिलों की क्या नाव बनूँ?

मैं ख़ुद तैर पाऊँ ना आँखों में

शायर की फ़ितरत में ही डूबना

मैं क्या ही लड़ूँ तूफ़ानों से

 

इश्क़ में तेरे हैं फ़ैज़ बने

अर्ज़ किया है

हमने भी लिखा कुछ तेरे बारे में है

 

हाथों को संभालें मेरे हाथों में

कैसे हाथों को संभालें मेरे हाथों में

जब तक नींद ना आए, इन लकीरों में बातें हो, हाय

 

हाँ, सब ने तो सब कह दिया है

क्या ही कहूँ जो अभी भी अनकहा है

See also  Jeene Laga Hoon Lyrics Full Song from Ramaiya Vastavaiya 

मैं, हाय, ना मिर्ज़ा, ना मीर, ना माहिर, ना ज़ाहिर

करूँ कुछ नया मैं

हाय, पर जो भी लिखा है, जिया है

हाँ, जिया है

ऐसे, ऐसे, ऐसे, कैसे, वैसे, जैसे

 

जैसे मैं पढ़ूँ मेरे दिल में जो

मेरी आँखें भी पढ़ें तेरी आँखों को

क्या यह महफ़िल में बैठें या उठें

दौड़ जाने को? हाय

तेरी आँखों में तारीफ़ों की तलाश है

मेरी महफ़िल तेरे जाने से वीरान है

मैं बस शायर बना हूँ

सिर्फ़ तू सुनने आए तो

 

शायद शायर बना हूँ सिर्फ़ तू सुनने आए तो

Arz Kiya Hai Lyrics in English

Kayar jo the, woh shayar bane
Ab kya-kya karein ye ishq mein
Na kehte the kuch jo, lage khoj mein
Kya lafz chune, naye aashiq ye

Ishq mein tere hain Faiz bane
Arz kiya hai
Humne bhi likha kuch tere baare mein hai

Aise tu lage ki gulaab hai
Aur aise tu lage ki gulaab hai
Baagon mein dil ke khilke in fizaaon mein chhaye ho, haaye
Aur waise hum to tere hi gulaam hain
Aur waise hum to tere hi gulaam hain
Baadshah dil ke teri baazi mein jo tu chahe to

Doobe dilon ki kya naav banu?
Main khud tair paaun na aankhon mein
Shayar ki fitrat mein hi doobna
Main kya hi ladun toofaanon se

Ishq mein tere hain Faiz bane
Arz kiya hai
Humne bhi likha kuch tere baare mein hai

Haathon ko sambhalein mere haathon mein
Kaise haathon ko sambhalein mere haathon mein
Jab tak neend na aaye, in lakeeron mein baatein ho, haaye

See also  Sirivennela Song Lyrics: Full Telugu & English Lyrics

Haan, sab ne to sab keh diya hai
Kya hi kahun jo abhi bhi ankaha hai
Main, haaye, na Mirza, na Meer, na maahir, na zaahir
Karun kuch naya main
Haaye, par jo bhi likha hai, jiya hai
Haan, jiya hai
Aise, aise, aise, kaise, waise, jaise

Jaise main padhun mere dil mein jo
Meri aankhein bhi padhein teri aankhon ko
Kya ye mehfil mein baithein ya uthein
Daud jaane ko? Haaye
Teri aankhon mein tareefon ki talaash hai
Meri mehfil tere jaane se veeraan hai
Main bas shayar bana hoon
Sirf tu sunne aaye to

Shayad shayar bana hoon sirf tu sunne aaye to